Saturday, February 13, 2010

shams o qamar ki baat karo,

Shams-o-qamar ki baat karo,
anjaam-e-sahar ki baat karo,
aghaaz e sahar ka haal kaho,
han, naqd e guhar ki baat karo,

jo kuch na rahe baqi tumko,
... to ahl e hunar ki baat karo,


dekho, kis mol ye bikte hen,
kis bhao bazaran charhte hen?
kia kiski qeemat lgti he?

kis lal ki qeemat kis se kam,
kis guhar ki boli lagi he kia?



ae ahl e hawas, darbaar e jah-o-hashm!
tum maal tumhara le ao,
hum maal humara le aein,
aur dekhen phr,
bisaat mai kiski bicha he kia?


Ao, ab ahl e junoon ko tolenge,
gar naar namrud ki hath tere,
to yahan kahan ibrahim se kam!


dated: mar 2008

Friday, December 18, 2009

Plank....!

Jab chand ki sab tanaben toot jayen
aur reza reza hokr amber
tumhari street light ki roshni jazb krle
aese lamhon ko yad rkhna,
sambhaal rkhna

Black body ki wo theory,
jo Plank tumko samjha gaya tha
kab tumko hifz hogi..?

Dated: 15 Dec 2009

Ab jabk tumse milne ka......!

Ab jabk tumse milne ka
koi moq'aa hi nhi milta he
mai sochta hun
pairon mai bandh k jhanjhar
nacha dun sabko
sone na dun
thaka dalun
unn sare lamhon ko
jo ab bhi,
tawater se
rang barange gardabon mai lipte huay
chale atay hen
mere sar pe hathore bajte hen
iztaraab musalsal rehta he

Aur tumse milne ka.........................!

Chaaqu, churian, bulb aur kaanch!
paeron mai lapete chalta hun,
yaad ki sab shahrahon par
qatal hen har har gaam huay

paer dharay unn lashon par---
dekho aur dekh kurho,
choraa humne tumko-

langre qadam aur surkh he chaal
bnda-e-zalim agay ke safar ko chalta he...!


Dated: 15 Dec 2009

Ae hakim-e-waqt....!

Surkh andhere,
neele lashe,
hari he khaal
ae hakim-e-waqt
ankhon ki beenai lota do....!

Dated: 15 Dec 2009

Thursday, October 29, 2009

....................

After, all the life of crimes
I am afraid.

;grin

Wednesday, September 30, 2009

awara taishe

jane wo konsi sadi thi ...,
jab taishon ki awargi mjhko aksar udaas rkhti,
jigar se aksar khoon rista
lab sile se rehte
ankhen dhuli dhuli si rehti

wo pheri wali jab bhoori ankhen jhapakti
aur muskanon k daam giran btati
to darwaze yakdam jhura uthte
khirkhion mai qufl lgte
aur mai wapas lot ata

spaat chehron se meri barson ki ashnai
kaheen kbhi jo qehqaha sunta
to jaan jese laraz uthti...

jab samander k paas betha
mai rone lgta
to ansoo jese rooth jate
phr mai samandron se pani udhaar lekr
khaton pe aksar tapkaya krta.

wo mjhse khti mere ansooun mai karwahat ghuli he,
wo sach hi khti.

Aur aaj jab mai sache dil se
kisi khiladi ki performance pe
taaliyaan baja rha hun

wo bhi saamne pole k paas,
tamashaiyon mai kaheen khari he.

Friday, July 17, 2009

Aqaa-e-mah-e-neem shab

Aqaa-e-mah-e-neem shab,
jhankte phirte hen badlon ki oat se,

kia khaya aaj Hazoor ne...?
basi roti,sada pani,
Ya aaj bhi fursat nhi mili...!
:grin