Friday, July 17, 2009

Aqaa-e-mah-e-neem shab

Aqaa-e-mah-e-neem shab,
jhankte phirte hen badlon ki oat se,

kia khaya aaj Hazoor ne...?
basi roti,sada pani,
Ya aaj bhi fursat nhi mili...!
:grin

waqt k pujari...,

fiza ki badli hui bht si ruton ki trh,
waqt k dereena khwaabon ki chand khirchian,
bikhar rhi hen na simat rhi hen,
bikhar bikhar, simat rhi hen
simat simat, bikhar rhi hen,

azurda dilon ki na asooda tamanaoun k samaan,
wadi e be-qamar mai, tanhi hi jal rhi hen.
andaleeb-e-aks ki parwazen, aur dil-e-girifta ki pukar,
ya yun kho k
dil-e-girifta ki parwazen, aur andaleeb-e-aks ki pukaar,
aur mai.....
sochon mai mahav,
najane kin daron ki khaak chantne mai masroof behad
waqt k pujari, meri asteenon se khoon chooste hen
phr bhi zakhm bharte nhi hen
phr bhi khoon jari rhta he