Sunday, November 30, 2008

arse baad phr kuch connectivity bnna shuruu hui he poetry ki...........!

Friday, November 28, 2008

Ab bas karo.....

paron mai rangon ko samete
urr gaein titlian sari,
kash tum unhen dekhte,
kaash tum unhen rokte
k bht pasand theen wo mjhe
rokna chahta tha mai unhen

chahta tha, wo ruk jaein
palkon mai meri aks ban k samaein
par tumhen iss se kia
tumhen unn se kia
tumhe mjh se kia
mai jo chahun, mai jo karun
mai jo kahun, mai jo sunun
tumhe iss se gharz kia
he beniazi ki inteha

Ab bas karo, ab rok do
ye zulm samandar bekaraan,
k mera dil masoom
thak gaya ab thak gaya
ab bas karo ab rok do,
ye zulm samander bekaraan
ye zulm samander bekaraan.


[ jun 2006 ]

Wednesday, November 26, 2008

nuqsan pe nuqsan kiye ja rahe hen
musalasal dagha jo diye ja rahe hen
soch k unn sabka bhla
hum apna bura kiye ja rahe hen

Monday, November 24, 2008

SACH KEHTI HUN DIL KI BATEN.....


sach kehti hun ...! dil ki baten dil mai rakhna acha he
bhed rahen jab tak sochen, tab tak sapna acha he


bheegi palken honton pe hansi
ye manzar kitna acha he
ye manzar kitna sacha he
sach kehti hun...! dil ki baten dil mai rakhna acha he


jhil mil kirnain, rim jhim barish,
khush bht insanon ki basti
haqeeqat k ye bas mai kahan...?
ye manzar to srf
rangon ne hi racha he
ye manzar kitna acha he
sach kehti hun...! dil ki baten dil mai rakhna acha he


dil to tumhara kehta hoga
kar lun kisi se sab baten
kisi ko de dun sare gham
inn ghamon pe parda rehna acha he
sach kehti hun...! dil ki baten dil mai rakhna acha he


buri to lagti hogi tumko meri baat
par jaan meri! samjho to zara
iss dunya mai siwa haqeeqat
jo he, sab jhoot ka kacham kacha he
sach kehti hun...! dil ki baten dil mai rakhna acha he


Date : 21st may o6

Friday, November 21, 2008

GH@ZAL....

Dili deewangi mai shab ik aur guzri he
. jo guzri he sab kooy-e-yaar guzri he

Dil k jharoke se, mosam k handole se,
. phir abk hawaye pur-khaar guzri he

Shauq hua tamaam, justujoo khatam, aur hum udaas
. maut k safar se agay zindagi bezaar guzri he


Roothe ho tum ,roothe hen hum roothne ka he mosam
. yunhi manne manane mai rut bekaar guzri he

Tumhe hi gardish-e-madaam se ishq bht tha
. apni to zindagi bhi muntazir e qaraar guzri he

Date : 7th may o6

Gh@m ate rehte hen...!

Dil k dareechon..!
tum to dukh se shanasa ho
phir tumhara yun....
kisi gham pe band ho jana,
kia maanai......
ghamon ne to ana he...., so wo ayenge
wo khushi tarah to nhi
k darwaza band dekhen to lot jayen wapis.

Date : 31 st may, 06

Saturday, November 1, 2008

JURM...

Bht hi door ufaq paar aik roshni ka hala tha………
Wo sooraj tha ya chand, uski soooji soooji roi aankhen andaza na lga paein.
Aaaj kch anhoni to na hui thi. Bas wahi roz ka qissa wahi roz ki kahani….uski maa ne phrse chadar mai usko lapeta aur kahin aur ki janib chal pari


Wo bht bari to na thi.. bas yahi koi sarhe chaar panch saal ki.
Phle amman abba k ghar se nikal di gaein,wjah bete ka na hona,
Phr mamoo k ghar se,wjah manhoos,ghr se nikali hui aurat hona,
Phr khala k ghar se,wjah unk ghar par aik izafi bojh hona.

Aur bhi njane ktne ilzaam qismat uss par dhare bethi thi,ye to faqt shehsurkhian theen.
Ye na tha k wo kisi ghareeb jahil,bartan kapre dhone wale khandaan se taaluq rkhti thi
Blk wo to aik nihayat aaala khandan se taluq rkhti thi….
Nana waghera anbala mai aik deehat k raje thay.par hijrat k waqt srf itna waqt mayassar aya k tan par jo kapre thay wahi saath la pate.
So ab wo sab kch hote huay bhi KCH k malik na thay.isiliye beti ko kch khaaas jahez na de paye.han baqi tamam gun beti mai poore thay.yaqeenan wo aaala tarbiat ka aik nayaab namoona thi.

Par sadeqa begum, to susraal ki nazar mai gunehgar theen……..jahez na lane ka jurm yaqeenan saza ka mustahaq tha

Jab sadeeqa begum doosri dfaa maa bnne lagin to ik din kisi mamooli si ghalti krne par unki saas ne esa zor ka Dhaka dia k dheori paar krk sehen ki deewar ko ja lageen….pet mai esa shidat ka dard utha k behosh ho gaein………………..

Algharz aik naya jurm sabit hua……sadeeqa begum ab nareena aulad se khandan ko nawaz nhi sakteen.


………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………
Ahhhhh………aur ajj shehr k aik knwen mai aik aurat ne beti samet kood kar khudkushi kar li………………….



AND THE STORY CONTINUES…………………………………
.ON AND ON………………………..


Dated :- [some three years back]
[An immature piece of writing... but its mine and thats enough a reason for posting it over here]